Jeevansathi app mai fraud logo se bachne ke liye kuch baato ka dyan de

Zaldi milne walo se dur rahe pehle kuch din baat karke samajh le uske baad mile

Sexy baate karne walo se dur rahe yeh time pass wale hote hai

Meri family ko manana muskil hai jis insaan mai clarity na ho aise insaan se dur rahe

Jo insaan apne family se aapke baare mai batane mai zyada time lagaye us insaan se dur rahe sahi insaan 20 din mai apne family mai aapke baare mai bata dega

Jo insaan aapke look pe Marta hai aise insaan se dur rahe

Shaadi mai zaldbaji karne walo se dur rahe shaadi ke liye thoda time mange aur unhe samjhe

Majnu logo se dur rahe jo kuch din baat karne ke baad bole unhe aapse pyar ho gaya hai

Zyada Paisa na dikhaye agar aap rich hai toh yeh baat show na kare

Kisi pe bhi itna trust na kare aap use apna personal details share kar le

Social media accounts bahut zaldi na bataye pehle samne wale insaan ko samajh le uske baad share kare